Rago me uf! Ufanata bhaap ka ubaal hai,
Dhadhak saanso me rahi ek aag hai,
Kya karegi ye dhuaayen,bauchhaaren,goliyaan
Kadamo me tumhare shoshako ki dhamkiyaan nirupaay hai|
Karo ropan chaturdik ek naye aadarsh ke aadhaar ka,
Vifal hai aas sinchan ka,kisi sudhaar ka|
Bharo ek loch bhi tamaam yantro ko hilaakar,
Pade hain aise asankhya murtvat au loshthvat,
Tajo neh pujan aise kachche viraasato se,
Ug na paaye dansh-vriksh ab itihaaso se|
Kshitij ko bhed kar dekho,
Maarg ek arunaabh hai,
Pidhi nayee hai,
Dahaadata pravaah hai|
By Nilesh Kumar Gaurav,
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment